Army cheif dissmissed senior officers on corruption 4pm PST

Monday, 25 April 2016

HEAT STROKE

Mosam-e-garma ki amad hai aur saal guzishta mein shadeed garmi aur loo say karachi mein honay wali halakaton ka khauf ek bar phir say zinda hogaya hai. wese bhi ab garmi ny barhna he hai aur khauf ye hai ke phichlay saal wali qayamat khez suratehaal paida na hojaye bohot khaufnaak manzar tha. Hr taraf hamary news channels per mukhtalif aspatalon mein jis andaz say emergencies mein lashon aur sisakty huay logon ko latay huay dikhaya gaya wo lamha hum aj tak nhi bhool sakay hain. hum ny guzishta saal ye bhi dekha ke hamari govt awami mushkilat mein kami lanay mein kafi had tak nakam dikhai di jiski bunyadi wajah govt ki laperwahi he keh lain ya is mein is qisam ki nagahani aafat say bachnay ki tayarian na karna shamil hai. is wajah say 1500 say zayed log mout ke moo mein chalay gaye. Is almiye mein awaam ny aur falahi idaron ny kuch kaam to kiya magar garmi us waqt shadeed thi aur masla is qadar sangeen hochuka tha ke bari tadad mein log heat stroke ke hathon luqma ajal bantay chalay gaye. Afsos ke ek baar phir se garmi shru hote he yehi khauf ek baar phir sy sir uthanay laga hai aur Mohkma-e-Mosamiyat ki janib sy iski peshangoyi krdi gayi hai ke shehri aur hukoomat ab khud ko tayar karlein. 



Hukoomat fori tor per aspatalon mein heat stroke say bachao ke zaroori camps, shehri aur gunjan muqamat per sabeelain lagaye aur jagah jagah mobile medical camps ka qayam jin mein adwiyat aur doctors ki hr waqt mojodgi ko yaqeeni banaya jaye jab ke aise elaqay ya shehar jinke nazdeek sarkari aspatal ye dispensary mojod na ho wahan tamam sahulaton say bharpoor imdadi camps qaim kiye jayen.


Is silsilay mein shadeed garmi say bachao ke tareqaykaar ko bhi shehriyon tak pohchanay ke intezamat karne chahiye. T.V channels aur Akhbarat ke zariye heat stroke say bachao ki ehtiyati tadabeer awaam tak pohchayi jaye. Isi tarhan falahi tanzeemon ke razakaron ko chahiye ke wo ghar ghar jaker is silsilay mein aagahi faraham karein aur awaam ko batayen ke wo khuraak, libaas aur degar ehtiyati tadabeer ko zaroor apnayen. Hamen khaas tor per mazoor afrad ko nhi bhoolna chahiye jo kisi na kisi mazoori ke bais ehtiyati tadabeer krnay say qasir hon. ye ek bohot bari insani khidmat hogi jisay poora karna hamara farz hai.


 Mera aur ap sub ka farz banta hai ke sabse pehly hum khud in tamam ehtiyati tadabeer ko sekhein aur iske baad dosron ko bhi sikhayen ke sakht garmi mein kam pani peenay ki wajah sy jab behoshi tari hone lagay ya jism sy paseenay ka ikhraj ruk jaye, dil ki dharkan barh janay sy blood pressure kam ya ziyada hojaye ya rangat surkh hojaye to kin ehtiyati tadabeer ko ikhtiyar kiya jaye. Agar sakht garmi mein ye alamaten zahir hon to foran sajh jayen ke ap heat stroke ka shikar honay jarhay hain. ye sub baten hamay khud sekhty huay dosron ko bhi batana chahiye. Meri Dua hai ke is saal heat stroke ki wajah se masoom janen zaya honay say bach jayen (AMEEN).

BY: BUSHRA SALIM

No comments:

Post a Comment