CHAMAN KE PHOOL MAZDOOR BACHAY
Bachay jo kisi mulk ka mustaqbil, sarmaya aur asasa hoty hain jb hansny khelny ke dino mein majboori ke hathon kaam krny nikal jayen to yaqeenan is muashiray ke liye almiya hota hai. ye almiya hr guzarty din ke sath nasoor bn kr muashiray ka chehra daaghdar aur badsurat krdeta hai. Pakistan mein muashi badhaali, wasayel ki kami aur ghurbat o aflaas nay jagah jagah is almiye ko janam de rakha hai. chaild labour ek samaji masla bn chuka hai. pakistan mein bachon ki mazdoori ka qanoon bnay 14 saal hogaye leken is pr amaldaramad nhi hosaka. mazdoor bachon pr akhiri survey 1996 mein hua tha jis mein bataya gya tha ke mulk mein 33 lakh mazdoor bachay hain jab ke ye sirf baqaida kaam kaaj ki jaghon pr kaam krny walon ki tadaad hai. mazdoor bachon ka 80% to ghair rasmi showbay mein hai jese gharon mein aur khaiton mein kaam krny walay bachay jin ka koi survey dastayab nhi.
Pakistan mein ghurbat is qadar barh gayi hai ke koi pochnay wala he nhi. pakistan ke beshtar masael ki jarh ghurbat hai. ghar mein kamany wala ek admi hota hai jab ke khanay walay 8 say 10 afrad is admi ki tankhuwah bhi itni nhi hoti ke ghar walon ka theek say pait paal sakay. wo apnay bachon ka pait bhar sakta hai ya unhen parha sakta hai. mazdoor bachon say to jese zindagi he rooth gayi hai. ghurbat o aflaas ke hathon majboor ho kr ye bachay nannhi c umer mein kaam krny ghar say nikal jatay hain sirf ye soch kr ke inkay ghar walon ka pait bhar sakay, unhen kam az kam do waqt ki to roti mayassar hosakay. jin hathon mein qalam aur kitab honi chahiye thi un hathon mein awzar, tapti hui eeinten aur apnay qad say bari jharooen hoti hain. kabhi ye masoom bartan manjhty, qaleen buntay, welding krty, sarken saaf krty aur hotels mein kaam krty huay nazar atay hain magar khelnay koodny ki umer mein sakht kaam krnay ke baad bhi khushion say mehroom hain.
Mulk bhar mein bachay koorha uthanay ka kaam bhi krty hain. jin mein wo aspatalon ka koorha bhi uthaty hain jis mein khatarnaak bemarion mein istemal honay wali patiyan, teekay waghera bhi hotay hain. in bachon ko apni rozi say matlab hota hai ke kachra bech kr anay walay paison se roti khareed kr khasaken. wo apni sehat ki parwah kiye baghair kachray mein haath daltay hain aur baaz oqat jb kachray mein say kuch khanay peenay ki ashiya mil jaten hain to apna pait bharnay ke liye wo bhi khalete hain.
in nanhi janon ko dekh kr dil khoon ke ansu rota hai jab log unhen dhutkaar ke bhaga dete hain. subha ke oqat mein jab ye bachay gariyon ke sheeshay saaf krty huay ya phool bechty huay dikhai dete hain aur kuch besharam log insay kaam krwa ke ya cheezen khareed ke bghair paisay diye gaari agay brhay dete hain to dil krta hai aise logon ka qatal krdun jab ap unhen unki mehnat pe kuch paisay nhi de skty to kaam kyun krwatay ho. yahi haal hamary hukurmaron ka bhi hai unki ankhon pr to jese pati bandh gayi ho unhen nazar nhi ata jab jab chilchilati hui dhoop mein ye masoom garam garam tapti hui eeinten utha ke nazuk kandhon pe ly jarhy hoty hain. hamary ye behis hukurmaran jo iqtidar ki havis mein andhay hochuky hain unhen bhala kahan nazar ayega. unhen to sirf awaam ki looti hui dolat dosray mulkon ke account mein transfer krny say matlab hain.
Mulk mein barhty huay taleemi ikhrajat aur din badin mehngaayi mein izafay ke pesh e nazar khadsha hai ke pakistan mein bajaye child labour kam honay ke mazeed barhay gi. khudara ab to hamari hukumat kuch hosh ke nakhun ly. ghurbat ke hathon majboor ho kr mazdoori krny walay bachon ko muft taleem, elaj mualeja aur unhen kifalat fraham krny ke zaraye mhuiya karay takay anay walay dino mein child labour ki sharah kam hoskay aur mere chaman ke phool mustaqbil ka roshan sarmaya bn saken.
Written by: Bushra Salim
No comments:
Post a Comment