NAIL ART!
Khoobsurti ke sath sath nakhunon ki tarash kharash aur libas ki munasibat say rangarang nail polish ka istemal khawateen ke make up ka lazmi hissa hai. Leken jahan hr badalty fashion ke sath make up ke andaz mein bhi tabdeliyan i hain wahen nakhunon ki sajawat aur banawat ka style bhi tabdeel hojata hai. Leken guzishta 3 saal ke arsay mein nakhunon ki sajawat ka andaz yaksar badal gaya hai. Ab khawateen lipstick say ziada nail polish per tajawah deti hain. Nail polish ki farokht lipstick ke muqablay mein ziada barh gayi hai ye ek naya record hai. Kyun ke is sy pehly duniya bhar mein farokht hone wali make up item mein lipstick he thi. Ab market mein pehly say kahen ziada nail polish ke shades dasteyab hain.
Nat naye tareqon say nail polish laganay ka shoq fashionable hone ki alamat samjha jata hai. Yahi nhi balke ab to is naye trend ko baqaida ek art ka sa darja hasil hai. Nakhunon per nail polish say kayi rangon say mukhtalif design bnaye jatay hain aur larkiyan bari fankarana andaz mein nafasat ke sath apnay nakhunon per nail paint krke apni infradiyat ka izhar krti hain. Yahi wajah hai ke is fun ko "NAIL ART" ka naam diya jata hai.
Nail polish lagany say pehly apnay nakhunon ki shape ko madenazar rakhna zaroori hai. Ager kisi ke nakhun sehatmand aur lambay nhi hain to aise logon ko chahiye apnay nakhun per qudrati rang ki kisi aise rang ki nail polish lagayen jo ziada shokh na ho. Ager khawateen apnay gehray rang ke hathon ki ungliyon per surkh ya naranji rang ki nail polish lagaleti hain to zara bhi nhi jachti. Inko nail polish ka halka shade istemal karna chahiye.
Nail art ki maqboliyat beauty industry ke business mein bhi izafay ka bais sabit hui hai. Ab baqaida nail salons bhi qaim horhy hain. Nakhun sajanay sanwarnay ke fun ko isse phly itni maqboliyat aur ehmiyat nhi hasil hui thi jitni ke ab hai. Is art ki ibteda chotay chotay salons say hui aur phir dekhty he dekhty usay baqaida business ka darja hasil hogaya.
Ye naya trend duniya bhar say taluq rakhnay wali mashoor khawateen ke liye bhi pasandeeda sabit hua. Lehaza jab bohot see mashoor adakaraon, khawateen gulukaraon, fashion models aur hatta ke sports celebrities nay nail art ko apnaya. Iski misal 2012 mein munaqid hone walay olympics hain. Jinke doran mukhtalef mulkon say taluq rakhny wali khawateen khilariyon nay apnay mulk ka parcham apnay nakhunon per apint karwaya aur is trhan nail art ko watan dost nail art ka darja bhi hasil hogaya. Ap bhi is nail art ko apnana chahen to mukhtalef khoobsurat designs say idea ly ker apna shoq khud pora ker skti hain.
BY: BUSHRA SALIM