Army cheif dissmissed senior officers on corruption 4pm PST

Sunday, 15 May 2016

- THAR MAI BACHO KI HALAKATEN NAZAR ANDAAZ -

"Bhook or Mout ka Khooni Raqus"

Humare ek bht he kareebi rishtedaar salahi idaray mai kam karte hain inka THAR mai jana hoa tou unhonay wahan kay halaat ka kch aese zikar kara kay wahan kay Bachay aese marr rahe hain jese QAYAMAT toot pari ho. Humare Hukmarano ki Be-hisi or La-ilmi ki misal tareekh mai kahin nahi milti Jis tarha wahn par Moutay horhae hain aesa lagta hai kay wo Insan nahi. Un MAA BAAP kay dilo mai kia guzarti hogi. Wo chahte huwy bhi kuch nahi kar paatay. Piyas kay maray JANWARO ka ye alam tha kay unki haddiyan nazar arhae thi is bat ka ilm humare Hukmarano ko kia hoga.

Agr hum tarikh utha kay dekhen tou FRANCE mai bhi Qahat parha tha tou logo nay gharo k darwazy khol diye thy jis kay ghar mai jo khanay ko tha wo le atay thy takay us se nijaat pa sakay or unki Hukumaat nay bhi unka is Qahat mai pura pura sath diya tha. Jo imdad ati thi apni Awaam tak phoncha dety thy.

Jab humare logo nay pani ki Bottlay or Rashan ki takseem shuru ki tou wahan kay log aese doray kay jaise Sher apne shikaar ki taraf dorta hai matlb unka ye alam tha kay unhonay khanay ki ashiya or peenay ka pani zindagi mai pheli dafa dekhna naseeb hoa ho.

Humare Hukmaraan tou mou mai jaise Sonay ka chamcha lekar paida huwy hain unko kia pata Bhook-O-Aflaas or Gurbat lekin humara gareeb tabqa tou ye baat achay sy janay hain. in halaat kay bawajood humare hukmarano par koi asar nahi hota.


By: Areeba Khan

Thursday, 12 May 2016

- Why Muslim Celebrate Different Days ??? - 


Har saal ki tarha is saal bhi kafi logo nay MOTHER's DAY celebrate kiya, wesay tou har din MAAOU se pyar ka izhar karne ka din hota hai lekin isi din hum apni MAAOU pe itna pyar q dikhatay hain ?? Kiya ek he din hota hai MAAOU pe pyar dikhanay ka. Hum MUSLIM state mai rehany waly hain or aese aese OCCASION celebrate karne lagay hain jisay har gizz sochna bhi nahi chahye. 

Aj kal dekha jaye tou VALENTINE DAY bhi aese openly celebrate kiya janay laga hai. Har jaga RED colour se chizo ko decorate kardetay hain. Har RED colour ki chiz ko aese prominent kardety hain jis se saaf lagta hai k wo chiz pyar kay izhar k liye hai isi tarha or bhi kafi Din celebrate kiye jatay hain jese FATHER's DAY, FREIND SHIP DAY Etc. Or bht say aese aese din bana diye gaye hain. Aese koi bhi din humare ISLAM mainahi batai gaye hain jo aj kal celebrate kiye ja rahe hain. Koi ek din bhi kisi se pyar ka izhar karne ka din nahi hota, Har din ek sa hota hai.

Humain chahye kay hum in dino ko BOYCOTT karen takay ye din humare Muslim state mai ainda celebrate na kiya jaye.
Thank You!

By: Areeba Khan

Wednesday, 11 May 2016

- Media Effect's Human Mind -

Aj kal ka media logo mai Positivity dikhanay kay bajai Negativity dikhai ja raha hai or inki sochnay ki salahiyat ko maflooj kar chuka hai. Humari ziyada tarr awam achai kay bajai burai ki taraf jakay sochti hai, Yahi waja hai kay media nay logo kay mind kay sath aesa khaila hai kay wo ab achai ko dekhtay he nahi. Humare commercial mai dekha jai tou Advertisement "DOODH" ki karni hoti hai or dehan ziyada dance pe diya ja raha hota hai or kch jagaou pe dekha jai tou "HAIR REMOVING CREAM" jaise commercial ko chahye kay bannd kardiya jaye qk is se humare Bacho pe galat effect parh raha hai.

Ab hum agar baat karen apni Drama Industry ki tou us mai bhi koi ziyada acha MESSAGE nahi phonchaya ja raha hai. Yahn larki ki shadi dikhatay hain or next episode mai wo "MAA" ban jaati hai. Dusri jaga dekha jai tou agar larki adhi raat ko ghar se bahar nikalti hai tou us k phiche Chor/Dakait lag jate hain ya phir unka koi AASHIQ mil jata hai. uski yahi waja hai kay ab humari MAA BEHNOON k andar se confidence khatam hota ja raha hai or wo raaton ko ghar se nikaltay huwy darti hain.

Mera bus yahi kehna hai kay humain chahye Media pe aisa Content dikhaya jai jo logo mai confidence paida ho or unka mind Positivity ki taraf jai or Media ko chahye kay wo apna rating system ko itna peak pe le jana chorde or logo mai achy se acha Message bhejay apne Content k zariye takay logo mai ziyada se ziyada awareness paida ho. Humara media ab jitni b achai dikhade lekin log ab burai ko b ehmiyat detay hain uski waja yahi hai kay jo chiz nahi dikhani chahye wo bhi dikha detay hain. Media ko chahye kay wo humesha achay Message, or achy Thoughts logo tak convey kare.


By: AREEBA KHAN

Saturday, 7 May 2016


BY: ASNA KHAN
EK NAZAR YAHAN BHI….

 
Mazdoor mazduri karne kay bawajoud bhi pareshani, ghurbat or faaqon ka shikaar hain. Fariya chowk par yeh manzar taqreeban roz hi dekhne ko milta hai lekin koi bhi is par ghor nhi karta. Sakht sardi ho ya phir garmi ye bourhy mazdoor rozana hi subah sawery apny auzaar saja kar kisi naa kisi footpath, chowrangi ya chowk par sirf is intizaar mein baith jaaty hain kay shayad koi in se kaam le lay. Jisse unke ghar ka chulha jal saky. Lkn afsos unhe naakami ka samna hota hai.

1st May ko Labour Day k naam par milne wali chutti ki khushiyan mazdoor se zyada tou hum manate hain lekin kese manate hain ye kbhi socha??? Sirf forward messages krke, facebook pe status upload karke or ek din k lye apne whatspp pr mazdoor k naam ki picture saja kr kya hmne apna farz pura krdia? Hum samjhte hain kay in sb cheezon kay zariye unko kharaj-e-tehseen pesh krke apna kaam pura krdia. Kya tamam mazdoor hamare status parhlete hain or mazdoor kay naam par lagai gai pictures dekh lete hain? Jab hm ye janty hain k aesa nhi hai tou hm kyun nhi aqal se kaam lete? Hm ye sb banawati cheezen apna kar dunya ko sirf ye batana chahte hain k humein unka both khayal hai. Agar waqai hamy unka khayal or ehsas hai tou ye sb krke hamy dunya ko ye batane ki kya zrurat hai? hm naik niyati se or apne dil se unke liye kuch acha bhi tw krsakty hain, kisi qism ki madad bhi tw karsakty hain. Lkn hum sb be-raah rawi ka shikaar hain. 
 
Unke chehre ki jhurriyon mein chhupi mayusi yeh batarahi hoti hai kay agar unki aaj dihaari naa ho saki tou wo kis mu se apne ghar jaa kar apne masoom bivi, bachon kay jawab dey hongy? Kis tarah yaqeen dilaengy kay unhone bhi pura din tapti dhoop me isi aas me guzara hai kay koi farishta ban kar aye or un se kaam le lay ya unki koi madad krjaye. Lekin hamy unki kya parwah? aksar.o.beshtar unki isi aas me suraj bhi mashriq se maghrib ka rukh karleta hai. Or wo mazdoor apne bhari bharkam auzar wapis samait kar be-basi kay aalam me apne kaandhay par laad kar usi tarah apni khaali jaib sambhaly ghar ki jaanib chal parta hai. Or jab ghar pohanchte hi uske bachy masoomiyat k sath usse sirf ye sawal karte hain kay, “Abbu kya aj hum khana milega?” tou kya guzarti hogi us be-bas or majboor baap par jab uske paas apne bachon ki itni asaan si baat ka bhi jawab naa ho. Kis mu se kehta hoga wo kay uski jaib mein agar kuch wazan hai bhi tou wo sirf zara si gard chimat jaany ka hai jo footpath or road or beth kar uski jaib se chimat gai thi warna uski jaib ab bhi usi tarah khali hi hai jese subah sawery ghar se nikalte waqt khali thi…..

BY: ASNA KHAN
"ILM BARI DOLAT HAI"
 ( PRIVATE TALEEMI IDARAY )



Ye jumla to hum bachpan se he sunty arhy hain k "ILM BARI DOLAT HAI". Lekin ab ye baat aur bhi ziada durust lgti hai kyun ke private taleemi idaron ke liye waqai "ILM BARI DOLAT HAI". Kyun ke ab in idaron ne ilm ke mayar ko chor kr isse milnay wali bari dolat ke peechay bhagna shru krdiya hai.

 Un mein say kuch idaron ka to ye haal hai ke na unki intezamiya itni taleemi yafta hai na ilm ki kuch aqal samjh hai. Lekin taleem ke naam per apny idaray chala rhy hain. Aj kal ke in taleemi idaron ne taleem faraham krny ke bajaye note bananay ka kaam shru krdiya hai. Paise se paise kese bnaya jata hai koi inse pochay.

Fees ki ager baat ki jaye to iska to koi pursaan e haal he nhi her saal apni marzi ke mutabiq jitni chahi fees brhadi. Students ki is majboori se poora poora faida uthaya jata hai ke unke paas koi aur rasta to hai nhi na wo beech saal se apni parhai sirf fees ki wajah se adhuri chor sakty hain.Fess ke ilawa bhi be-shumar zarae hain paise wasool krne ke ya to late fees ki surat mein ya phir bina quality ke uniform ko zabardasti khareedny ki mad mein iske elawa re-exam ke naam per bhi ab to ba-asani hazaron rupay wasool kiye jatay hain. 

Pehle kbhi jb in idaron mein parhny walay bachon ka result samnay ata tha aur is mein ager failures ki thori see bhi tadad payi jati thi to wo idaray ke liye mayosi ki alamat smjhi jati thi. Aur ab ager failures ki tadad hazaron mein bhi pohanch jaye to yahi cheez idaray ke liye khush qismati ka baais bnjati hai kyun ke papers reh janay ki surat mein he to hazaron rupay wasool krty krty lakhon rupay ka bank balance jama hojata hai chahay ab ager un papers mein reh janay walay bachon ko dobara classes lene ki zaroorat darkar ho ya na ho phir bhi zabardasti ki classes unke sir per laad di jayengi.

In taleemi idaron ne taleem hasil krny walay bachon ke maa baap ko lootney mein  kisi qisam ki koi kasar nhi chori. Ye wo log hain jo baghair gun ke maa baap ko lootna chahty hain. Mein jis idaray ka hissa hun wahan ka haal bhi kuch aisa he hai fees ka bojh to apni jaga lekin kuch departments mein students ko assignments bhi is tarhan ke dy diye jatay hain jis ka kharcha hazaron mein hota hai jese assignment ke naam  per apni he university mein library bnwana, projectors lagwana, printers faraham krna, lockers aur cupboards bnwana aur to aur puranay auditorium ko naye tarz per khoobsurat andaz mein bnadena. Aur students ke liye 10 se 20 numbers ke assignment ko 40  se 50 numbers per pohchana dena ke ager unhone ye assignment na kiya to inke fail hone ke khadshaat bohot ziada hain jabke dosron ke samne ye idaray apni saakht bohot aasani se achi bna lete hain ke jese ye sara ka sara taraqqi yafta kaam unhone he to karwaya hai.

Kabhi kabhi mein ye sochti hun ke kya sirf isi ka naam taleem hai??? lekin phir andaza hota hai ke meri tarah her student apne mustaqbil ko lekar inke hathon majboor hai. Aur ab in tamam halaat se guzarne ke baad hum samajhdaari se is baat ko samajh skty hain ke waqai "ILM BOHOT BARI DOLAT HAI".    


Thursday, 5 May 2016

    " Seedha saadha bachpan "

ye daulat bhi lelo, ye shauhrat bhi lay lo
bhalay cheenlo mjhse meri jawani
magr mjhko lau ta do wo bachpan ka sawan
wo kaghaz ki kashti wo barish ka paanii. . .

Aaaaahhhh!!!
waqaii wo bhi kia din thay jab ham srf aik qalam aur kitaboon k zariye parha krty thy. hamain kisii internet ya mobile ka sahara nahi hota tha. dictionary bhi wireless hua krti thii. joo krna hua krta thaa ham apni mukhtalif kitaboon k zariye kara krty thy. libraries me jaao tou sir hee sir k alawa kuch nazar nahi aya krta tha. lekin ab k zamanay me bachy thandi A.c ki hawa leney jaya krty hain wahan. unko maloom hota hai k internet hai hamara saathi. ab to internet sy fursat nahi milti k kuch parha bhii jayee. internet ny bachon sy unka seedha saadha bachpan cheen hee lia haii.

  "Ab ka daur aesa naahi raha k ham apna seedha saadha bachpan guzaarain"





~AREEBA KHAN
                                           Ghareeb Tabqa

            "haadsay sy barh kar Almiya ye huaa" . . . 
WAH! hamary hukmaraan to munh me jesey soonay ka chamcha lay kar paida huye hain. inko kia pata bhook'o'aflaas aur ghurbat. lekin hamara ghareeb tabqa tou ye baat achay sy janaay hai k Maut kia? bhook kia? kia ye tabqa srf pareshanii dekhny k lye paida hua hai? ye soch kar tou hamara room room kaanp jaye k insaan janwaroon sy bhii ziada tadaad me zindagi ka sath choor raha hai. 
  Hamary Hukmaraan apni Aish'o'ishrat wali zindagi me aesy masroof hain k unko apni awaam ki halaat ki kaan o kaan khabar nahi. log muflisi aur tang dasti k maaray mary jaa rahay hain. bey roozgari ka ye aalam hai k log bhook sy mary ja rahay hain. log apnay bachon ko baichny per majboor hogye hain. kyun k unky pass khanay ko aik taka nahi. jissy inky ghar ka choohla jal sakay. in haalat k bawajood hamaray hukmaranon k kaan per joon tak nahi reengti. aik masters kiya hua banda apni degree hath me lye job k lye rooz nikalta hai ta k uskay bachy do wqt ka khana khaalain. lekin afsoos hamaray hukmaranon ny koi jaga nahi choori ghareebon k lye. Bass Abto lagta hai Allah hee hafiz hai is tabqaay k lye. 
Mera sawal bass ye haai k kia ye tabqa kbhi Aish kar sakyga ?? 



~AREEBA KHAN
BY: ASNA KHAN

AKHIR KON SAHI OR KON GHALAT??

Aik roz me university se ghar jaaty waqt apni van mein sawaar yeh dekhti hun kay raasty mein mamool kay mutabik kai gaariyan Expo Centre ki taraf main road say guzar rahi hain. Achanak aik rickshaw driver jaany waaly road par jaany kay bajaye mukhalif simt mein chala araha hai jisse kaafi gaariyan jo apni manzil par rawa dawa thein wo ruk si gaeen. Samajh nhi aata tha kay rikshay waaly ko pehle jagah di jaye ya phir khud apna raasta napa jaye. Jagah dete bhi kyun? Rikshay wala khud hi ghalat simt aagy barha tha. Har koi rikshay waaly ko kosta hua aagy barh raha tha. Lekin rikshay waaly k sir par ju naa rengi. Rikshay wala baghair kisi ki parwah kiye har mumkin tareeqy se apna raasta banany me laga hua tha.

Achanak dekhty hain kay aik traffic police safaid uniform mein malboos apni motor cycle rikshay k aaray ley aya. Jisne sbse pehle road par mu bhar pan ki peek thooki or rickshaw wapis lejaany ka ishara kiya. Lekin rikshay wala bhi tas se mas naa hua blke dhitai kay sath rickshaw rok kr wahin khara hogaya. Traffic seconds ki raftaar se barhta chala gaya. Har koi apni gari ka horn baja baja kar rikshay waaly ko jagany or hilaany ki koshish karta raha par wo naa mana. Itny mein traffic police ney rikshay waaly kay qareeb akar usko danda dikhaya or sath hi ye bhi takeed ki kay agar usne traffic kay qanoon ki paasdari naa ki tou usko sbke saamny traffic police kay hathon thappar khany par jaengy. Ab tou rickshaw  sawar pehle se bhi zyada jazbati hogaya. Chand logon kay samjhany bujhany par riksha driver ne wapis jaany kay liye apna riksha mor tou liya lekin jaaty hue who ek baat kehgaya. Or woh yeh kay “jo log khud qanoon par amal daramad nahi karty woh hamein qanoon par chalne ka raasta dikhaty hain.” Uski ye baat kahin naa kahin durust bhi thi. Kyun kay kisi bhi shahrah ya main road par ye nahi likha hua hai kay, “Traffic police ko is road par pan ki peek thookne ki ijazat hai.” 

BY: ASNA KHAN
GHAIRAT  KAY  NAAM  PAR  QATAL….



Naa jany kyun hamare muashray mein izzat or ghairat ko sirf or sirf aurat hi sath jor kar parkha jata hai. Jabke ghairat ka talluq kisi khaas jins ya umer se nhi hota. Yhi wajah hai kay aurton ki marzi or mansha ko ghairat kay naam par dabaya jata hai lekin agar wahi marzi ek mard ki ho tou usko tarjihaat dey kar izzat bakshi jati hai. Jiske manfi asraat hamein aam tor par har janib hi dikhai derahy hain. Hamary muashray me bay shumaar mard aese bhi hain jinhe apne ghar ki aurton maslan Maaon, Behno, Betiyon or Biviyon ki ghairat ka boht khayal hota hai lekin afsos………. Inki ye ghairat sirf ghar tak hi mehdood rehti hai. Aur dusri aurat ko dekh kr inka nazariya bilkul iske bar-aks hota hai. Muashray me deegar khawateen se jab inka takrao hota hai tou inki wo saari ghairat boht asaani se be-ghairti me badal jati hai. Phir chahe wo raah chalti aurat ho ya ek bus mein sawar aurat inko is baat ki kya parwah kay wo bhi kisi or ki Behen hai ya Beti……

Ghairat kay naam ka jhoota libadah orhne waly yeh log naa sirf khud be-hayai ki alamat bnjaty hain blke be-gunah aurto par bhi be-izzati ka daagh laga dete hain. Pakistan jese Muslim mumalik me aurton ki izzat.o.asmat ko be-dardi se pamaal krke un be-gunah aurton ko zabardasti maut kia wadiyon me pohancha diya jata hai. Aik report kay mutabiq Pakistan me saalana 500 kay qareeb khawateen ko ghairat kay naam par qatal kardia jata hai. “Kaar.o.kaari” bhi isi ki aik qism hai jisko Sindh bhar mein maana jata hai. Aur isay badkaari kay mutaradif samjha jata hai. Kaar.o.kaari wo cheez hai jis mein aksar mard apnay khandani jhagray mitanay, zameen.o.jaedaad hasil karny, naa pasandeeda Bivi say chhutkara hasil krke dusri shadi karnay samait be-shumar maqasid kay husool ki khatir masoom aurton par kisi dusray mard say talluqaat ka ilzaam aaid karke kaar.o.kaari qarar dey kar qatal kardete hain. Iske elawa larki ki man pasand or ghair khaandan mein shadi karna bhi kaar.o.kaari mein shumaar kiya jata hai.

Baluchistan kay aik zilay “Naseerabad” mein ghairat kay naam par 5 khawateen ko firing karke naa sirf qatal karney ki koshish ki blke iske sath sath unhe tarapti hui halat mein zinda dafan krdiya gaya. Jab ye khabar TV or Akhbaarat ki zeenat bani tou Pakistan Peoples Party kay aik minister jinka talluq usi qabeelay se tha unka kehna hai kay ye hamari baloch riwayat ka hissa hai. Aesa koi pehli baar nhi hua. Pakistan mein kahin naa kahin aurat is cheez ka nishana banti hui dikhai deti hai.

Agar aesa hai tou Sawal ye peda hota hai kay jis minister ko is baat ka sakht notice lena chahiye tha usne isko riwayat ka naam dediya. Kya aesa shakhs minister banney k laaiq hai? Kya kisi qabeelay ki ehmiyat Islami qawaneen se zyada hai? Kya Islmai Jamhuriyah Pakistan mein be-gunah aurton ko qatal karna or inki izzat.o.aabro ko pamaal karna koi jurm nhi? Aakhir kab tak Islam kay naam par hasil krne waaly is mulk mein Islam hi kay taqazon kay khilaaf yeh wehshiyana sulook jaari rahega???


Ye wo sawalaat hain jinke jawaab hukumat dene ko tayar nhi qanoon ka darwaza khat khataya jaye tou wahan par bhi masoom logon ki be-hisi or naakami sir charh kar bolti hai. Lihaza hukumat ki naa-ehli ko aik taraf rakhte hue hamein khud behtar tor par iqdamaat karne hain. Or ilm kay zariye logon ko behtar tor par haya or be-hayai ka farq batana hai. Sath hi aese masail ko dabaney kay bajaye is par awaaz utha kar hamein apni qaum ko jagana hoga. Kyun k ye sirf aik aurat ki nahi balke aik muashray, aik khaandan or aany wali tamaam naslo ki izzat ka sawal hai….

                               

  BY: ASNA KHAN

            BIG BRANDS WAR

“Lipton ek bar bhool jaogy Danedar” this is the punch line of the commercial which was released by the Lipton tea company on January 2016 in which Hamza Ali Abbasi (actor) was doing marketing of this product of tea. Lipton was introduced in Pakistan in 1948. It is one of the oldest companies and its product is sold more than 150 countries. Lipton is a brand which belongs to unilever.

No doubt the competition between different companies is increasing more and more now a day. That’s why every company wants to do good marketing of their product. Because it’s a fact that every product is incomplete and unsuccessful without its marketing.

The competitors of every company are also increasing day by day and it is the advantage for the audience. Because many well known companies don’t try to compromise with the quality of their product at any cost and also try to improve their quality more and more. Tea making company is one of that.



 Tapal is also a biggest tea company of Pakistan which was founded in 1947. From starting Tapal is also running with great success. This company does not compromise with blending, packaging, marketing and its distribution. So that a great competition has arisen between “Lipton and Tapal”. Both of the companies don’t want to lose their buyer that’s why they try to divert the concentration of the customers towards their own product by different ways.


Commercials on TV channels are one of the most effective tools for their marketing. Most of the companies spent great amount of money on their ads. Lipton has introduced its ad in January 2016 in which Hamza Ali Abbasi (actor) as an opinion leader asking to the audience just try our tea once and you will definitely forget the taste of other tea. Hamza directly hit other company with its name. He said “Lipton ek baar bhool jaogy Danedar” in the end he is also claiming about one other fact that it’s not a waste of your money and after this caption he said “pasand naa aye tou paisey wapis”. We have many other examples of these types of commercials in which mobile service companies like “Jazz and Ufone” and detergent companies like “Ariel and Surf Excel” are include who directly hit their competitors.

These companies should focus on their quality instead of hitting cheap jabs at each other. We have seen many bill boards of Lipton with the same caption at different places. Then tapal took revenge in their commercial and they compare the quality of Tapal with the blurry image of Lipton. In this commercial tapal didn’t mention or hit Lipton directly 
Again Hamza Ali Abbasi and Aisha Khan (actress) also appear in the new add of Lipton with the same strength and message against Tapal. Is Lipton no longer market leader? Lipton started this war first. Every tea company should understand that they cannot beat any other company by this type of advertisement but by giving good taste of tea to their customers otherwise they are totally failed.
PEMRA is also responsible for this type of company’s war. Why PEMRA is not playing its role properly? Today we watch dances and somehow vulgarity in Pakistani ads which is not acceptable in our society because it’s not a part of our culture, norms and values. PEMRA should make strict policies for all the advertising companies.







Tuesday, 26 April 2016

NAIL ART!

Khoobsurti ke sath sath nakhunon ki tarash kharash aur libas ki munasibat say rangarang nail polish ka istemal khawateen ke make up ka lazmi hissa hai. Leken jahan hr badalty fashion ke sath make up ke andaz mein bhi tabdeliyan i hain wahen nakhunon ki sajawat aur banawat ka style bhi tabdeel hojata hai. Leken guzishta 3 saal ke arsay mein nakhunon ki sajawat ka andaz yaksar badal gaya hai. Ab khawateen lipstick say ziada nail polish per tajawah deti hain. Nail polish ki farokht lipstick ke muqablay mein ziada barh gayi hai ye ek naya record hai. Kyun ke is sy pehly duniya bhar mein farokht hone wali make up item mein lipstick he thi. Ab market mein pehly say kahen ziada nail polish ke shades dasteyab hain. 


 
Nat naye tareqon say nail polish laganay ka shoq fashionable hone ki alamat samjha jata hai. Yahi nhi balke ab to is naye trend ko baqaida ek art ka sa darja hasil hai. Nakhunon per nail polish say kayi rangon say mukhtalif design bnaye jatay hain aur larkiyan bari fankarana andaz mein nafasat ke sath apnay nakhunon per nail paint krke apni infradiyat ka izhar krti hain. Yahi wajah hai ke is fun ko "NAIL ART" ka naam diya jata hai.


Nail polish lagany say pehly apnay nakhunon ki shape ko madenazar rakhna zaroori hai. Ager kisi ke nakhun sehatmand aur lambay nhi hain to aise logon ko chahiye apnay nakhun per qudrati rang ki kisi aise rang ki nail polish lagayen jo ziada shokh na ho. Ager khawateen apnay gehray rang ke hathon ki ungliyon per surkh ya naranji rang ki nail polish lagaleti hain to zara bhi nhi jachti. Inko nail polish ka halka shade istemal karna chahiye.

Nail art ki maqboliyat beauty industry ke business mein bhi izafay ka bais sabit hui hai. Ab baqaida nail salons bhi qaim horhy hain. Nakhun sajanay sanwarnay ke fun ko isse phly itni maqboliyat aur ehmiyat nhi hasil hui thi jitni ke ab hai. Is art ki ibteda chotay chotay salons say hui aur phir dekhty he dekhty usay baqaida business ka darja hasil hogaya.


 Ye naya trend duniya bhar say taluq rakhnay wali mashoor khawateen ke liye bhi pasandeeda sabit hua. Lehaza jab bohot see mashoor adakaraon, khawateen gulukaraon, fashion models aur hatta ke sports celebrities nay nail art ko apnaya. Iski misal 2012 mein munaqid hone walay olympics hain. Jinke doran mukhtalef mulkon say taluq rakhny wali khawateen khilariyon nay apnay mulk ka parcham apnay nakhunon per apint karwaya aur is trhan nail art ko watan dost nail art ka darja bhi hasil hogaya. Ap bhi is nail art ko apnana chahen to mukhtalef khoobsurat designs say idea ly ker apna shoq khud pora ker skti hain. 


BY: BUSHRA SALIM

Monday, 25 April 2016

HEAT STROKE

Mosam-e-garma ki amad hai aur saal guzishta mein shadeed garmi aur loo say karachi mein honay wali halakaton ka khauf ek bar phir say zinda hogaya hai. wese bhi ab garmi ny barhna he hai aur khauf ye hai ke phichlay saal wali qayamat khez suratehaal paida na hojaye bohot khaufnaak manzar tha. Hr taraf hamary news channels per mukhtalif aspatalon mein jis andaz say emergencies mein lashon aur sisakty huay logon ko latay huay dikhaya gaya wo lamha hum aj tak nhi bhool sakay hain. hum ny guzishta saal ye bhi dekha ke hamari govt awami mushkilat mein kami lanay mein kafi had tak nakam dikhai di jiski bunyadi wajah govt ki laperwahi he keh lain ya is mein is qisam ki nagahani aafat say bachnay ki tayarian na karna shamil hai. is wajah say 1500 say zayed log mout ke moo mein chalay gaye. Is almiye mein awaam ny aur falahi idaron ny kuch kaam to kiya magar garmi us waqt shadeed thi aur masla is qadar sangeen hochuka tha ke bari tadad mein log heat stroke ke hathon luqma ajal bantay chalay gaye. Afsos ke ek baar phir se garmi shru hote he yehi khauf ek baar phir sy sir uthanay laga hai aur Mohkma-e-Mosamiyat ki janib sy iski peshangoyi krdi gayi hai ke shehri aur hukoomat ab khud ko tayar karlein. 



Hukoomat fori tor per aspatalon mein heat stroke say bachao ke zaroori camps, shehri aur gunjan muqamat per sabeelain lagaye aur jagah jagah mobile medical camps ka qayam jin mein adwiyat aur doctors ki hr waqt mojodgi ko yaqeeni banaya jaye jab ke aise elaqay ya shehar jinke nazdeek sarkari aspatal ye dispensary mojod na ho wahan tamam sahulaton say bharpoor imdadi camps qaim kiye jayen.


Is silsilay mein shadeed garmi say bachao ke tareqaykaar ko bhi shehriyon tak pohchanay ke intezamat karne chahiye. T.V channels aur Akhbarat ke zariye heat stroke say bachao ki ehtiyati tadabeer awaam tak pohchayi jaye. Isi tarhan falahi tanzeemon ke razakaron ko chahiye ke wo ghar ghar jaker is silsilay mein aagahi faraham karein aur awaam ko batayen ke wo khuraak, libaas aur degar ehtiyati tadabeer ko zaroor apnayen. Hamen khaas tor per mazoor afrad ko nhi bhoolna chahiye jo kisi na kisi mazoori ke bais ehtiyati tadabeer krnay say qasir hon. ye ek bohot bari insani khidmat hogi jisay poora karna hamara farz hai.


 Mera aur ap sub ka farz banta hai ke sabse pehly hum khud in tamam ehtiyati tadabeer ko sekhein aur iske baad dosron ko bhi sikhayen ke sakht garmi mein kam pani peenay ki wajah sy jab behoshi tari hone lagay ya jism sy paseenay ka ikhraj ruk jaye, dil ki dharkan barh janay sy blood pressure kam ya ziyada hojaye ya rangat surkh hojaye to kin ehtiyati tadabeer ko ikhtiyar kiya jaye. Agar sakht garmi mein ye alamaten zahir hon to foran sajh jayen ke ap heat stroke ka shikar honay jarhay hain. ye sub baten hamay khud sekhty huay dosron ko bhi batana chahiye. Meri Dua hai ke is saal heat stroke ki wajah se masoom janen zaya honay say bach jayen (AMEEN).

BY: BUSHRA SALIM

SELFIE CRAZE

The world has changed into a global village. There is a lot more advancement in technology than before. Selfies have become a huge trend in social media. Nowadays, it can easily be seen that everyone is busy taking selfies. Whether they are with family or friends, at restaurants or at family gatherings, they do not bother to talk. It can be seen that a person sitting next to the other is more interested in taking selfies than talking to the other no matter after how long they have met. The respect and the value of relations have become weaker. 


Selfie craze were classified into three types including Borderline selfitis, those who take photos of one’s self at least three times a day but don’t post them on social media (Moderately attractive people). Acute selfitis, who take photos of one’s self at least three times a day and post each of the photos on social media (People who have groomed for these activities)chronic selfitis, those who have the uncontrollable urge to take photos of one’s self round the clock and posting them on social media over six times a day (attention seekers).


I have personally seen this increasing trend among my own friends. They take several selfies over and over again until they find the right one. Picking out details about their eyebrows, skin, noses, smiles, teeth, hair and so forth, all in an attempt to find the perfect angles to make the perfect picture. They even remain curious about the selection of their profile pictures on Facebook and other social media sites, which is a time consuming process. Believe it or not, as harmless as these acts all seem, they build up over time to create great forms of self-consciousness and a false sense of confidence. Instead of being okay with who we are no matter what, we strive to find the right picture with all the perfect details.

 We can say that the selfie craze is a mental disorder. It is not an abnormal act to take a selfie but the act of taking selfies all the time is an abnormal activity. The excess of everything leads to addiction and can cause problems. Not only our youth are suffering from this disorder, I have seen many people in their middle and old age who remain anxious to capture and post their selfies on the internet. Although it is good to move with technology, yet it should be used moderately.


BY: BUSHRA SALIM

Sunday, 24 April 2016


ری انیکٹمنٹ پروگرام 
ری انیکٹمنٹ پروگرام یعنی ایسے پروگرام جس میں ماضی میں ہونے والے حالات اور واقعات کو اداکاری کے ذریعے پیش کرنے کے عمل کو ری انیکٹمنٹ یا ہسٹوریکل انیکٹمنٹ کہا جاتا ہے یہ ایک ایسی تعلیمی اور تفریحی اور سرگرمی ہے جس میں لوگ ایک منصوبے کے تحت کسی خاص تاریخی واقع کو عمل میں لاتے ہیں ۔مثال کے طور پر چودہ اگست کے موقع پر پاکستان کے تاریخی واقعات اور اس وقت کی اہم شخصیات کو کرداروں اور
انکی اداکاری کی شکل میں پیش کیا جاتا ہے۔
ہمارے پاکستانی میڈیا چینلز پر بے شمار ری انیکٹمنٹ پروگرام نشر ہوتے نظر آتے ہیں جس میں ماضی کے مختلف واقعات اور حادثات کی عکاسی کی جاتی ہے لیکن افسوس کے ہمارے پاکستانی میڈیا چینلز پرری انیکٹمنٹ کی شکل میں ایسے حالات و واقعات کو منظر عام پر لایا جاتا ہے جو ہمارے معاشرے پر بے انتہا منفی اثرات مرتب کرتے ہیں ۔ریٹنگ کی اس دوڑ میں ہمارے میڈیا چینلز تہذیب اور اخلاقات کو بہت دور چھوڑ چکے ہیں ۔ری انیکٹمنٹ پروگرام کے توسط سے صرف ایسی کہانیوں کو دیکھایا جاتا ہے جو صرف ریپ سینس،ڈانسنگ ،قتل وغارت ،کڈنیپنگ اور دوسری مجرمانہ سرگرمیوں میں ملوث افراد پر انحصار کرتی ہیں ۔اگر دیکھا جائے تو اس طرح کی کہانیاں دیکھانا نامناسب ہے کیونکہ خاندان کے افراد جب اس طریقے کے شوز دیکھتے ہیں خاص طور پرہماری نئی نسل جب ایسے شوز کوملاحظہ کرتی ہے تو وہ انکی ذہنی نشونماکے لئے صحت بخش ثابت نہیں ہوتا 
کیونکہ اس کے بعد انکا معاشر ے میں رہنے والے افراد سے متعلق نظریہ تبدیل ہوجاتا ہے اور پھر وہ کسی مثبت پہلو میں بھی منفی پہلو تلاش
کرنے پر مجبورہیں ۔
بے شک ہم معاشرے کی ترقی میں رکاوٹ بننے والے منفی عوامل کو نظر انداز نہیں کرسکتے لیکن ان عوامل کو ختم کرنے کے لئے ایسے طریقہ کا ر ضرور اختیار سکتے ہیں جو مسائل کا حل تلاش کریں نا کہ لوگوں کے ذہنوں پر صرف برائی کا اثر ڈالیں بلکہ ان واقعات پر بھی روشنی ڈالی جائے جو ہمارے معاشرے پر مثبت اثرات ڈال رہے ہیں تاکہ ملک کے عوام کا اپنے ملک پر اعتمادبھی برقرار رہے اور اس سے متعلق جو ایک خراب نظریہ 
بن چکا ہے وہ بھی تبدیل ہو۔اور صرف ایسا نہ ہو کہ منفی سوچ ہی انکے ذہنوں کا مسکن بن کر رہ جائے۔

ری انیکٹ پروگرام ایک بہترین تبدیلی لاسکتے ہیں اگر ان کے ذ ریعے پاکستان کی تاریخ میں ہونے والے مثبت حالات و واقعات کی بھی روشنائی کرائی جائے ۔
مثال کے طور پر تاریخ میں پاکستانی فوجی نوجوان راشد منہاس شہید اور دوسرے فوجی نوجوانوں کی شکل میں بہادری کی جو مثالیں قائم ہوئیں ۔اس کے علاوہ ہمارے ملک ومعاشرے کی سب سے عظیم شخصیت عبدلستار ایدھی جنہوں نے غریبوں ،مسکینوں اور لاچاروں کی مدد کے لئے اپنی زندگی کو وفد کر دیا ۔
اس وقت مختلف ٹی وی چینلز پرنشر کئے جانے والے ری انیکٹمنٹ پروگرام دن بہ دن دہشت پھیلا رہے ہیں جن کے ذریعے معاشرے میں غیر اخلاقیات پھیل رہی ہے لہذا یہ ہماری معاشرتی ذمہ داری ہے کہ ہم ملک میں رہنے والے عوام کو متحد کریں اس کے علاوہ پیمرا اور متعلقہ حکومتی اداروں کو زیادہ سے زیادہ خطوط ارسال کئے جائیں تاکہ پیمرا اور حکومتی ادارے ایسے پروگرام پر پابندی لگائیں جو دنیا میں ہمارے ملک کی عزت و
وقار کو پامال کررہے ہیں ۔
تحریر : انیقہ معین