Army cheif dissmissed senior officers on corruption 4pm PST

Thursday, 5 May 2016

BY: ASNA KHAN

AKHIR KON SAHI OR KON GHALAT??

Aik roz me university se ghar jaaty waqt apni van mein sawaar yeh dekhti hun kay raasty mein mamool kay mutabik kai gaariyan Expo Centre ki taraf main road say guzar rahi hain. Achanak aik rickshaw driver jaany waaly road par jaany kay bajaye mukhalif simt mein chala araha hai jisse kaafi gaariyan jo apni manzil par rawa dawa thein wo ruk si gaeen. Samajh nhi aata tha kay rikshay waaly ko pehle jagah di jaye ya phir khud apna raasta napa jaye. Jagah dete bhi kyun? Rikshay wala khud hi ghalat simt aagy barha tha. Har koi rikshay waaly ko kosta hua aagy barh raha tha. Lekin rikshay waaly k sir par ju naa rengi. Rikshay wala baghair kisi ki parwah kiye har mumkin tareeqy se apna raasta banany me laga hua tha.

Achanak dekhty hain kay aik traffic police safaid uniform mein malboos apni motor cycle rikshay k aaray ley aya. Jisne sbse pehle road par mu bhar pan ki peek thooki or rickshaw wapis lejaany ka ishara kiya. Lekin rikshay wala bhi tas se mas naa hua blke dhitai kay sath rickshaw rok kr wahin khara hogaya. Traffic seconds ki raftaar se barhta chala gaya. Har koi apni gari ka horn baja baja kar rikshay waaly ko jagany or hilaany ki koshish karta raha par wo naa mana. Itny mein traffic police ney rikshay waaly kay qareeb akar usko danda dikhaya or sath hi ye bhi takeed ki kay agar usne traffic kay qanoon ki paasdari naa ki tou usko sbke saamny traffic police kay hathon thappar khany par jaengy. Ab tou rickshaw  sawar pehle se bhi zyada jazbati hogaya. Chand logon kay samjhany bujhany par riksha driver ne wapis jaany kay liye apna riksha mor tou liya lekin jaaty hue who ek baat kehgaya. Or woh yeh kay “jo log khud qanoon par amal daramad nahi karty woh hamein qanoon par chalne ka raasta dikhaty hain.” Uski ye baat kahin naa kahin durust bhi thi. Kyun kay kisi bhi shahrah ya main road par ye nahi likha hua hai kay, “Traffic police ko is road par pan ki peek thookne ki ijazat hai.” 

No comments:

Post a Comment