Army cheif dissmissed senior officers on corruption 4pm PST

Thursday, 5 May 2016

BY: ASNA KHAN
GHAIRAT  KAY  NAAM  PAR  QATAL….



Naa jany kyun hamare muashray mein izzat or ghairat ko sirf or sirf aurat hi sath jor kar parkha jata hai. Jabke ghairat ka talluq kisi khaas jins ya umer se nhi hota. Yhi wajah hai kay aurton ki marzi or mansha ko ghairat kay naam par dabaya jata hai lekin agar wahi marzi ek mard ki ho tou usko tarjihaat dey kar izzat bakshi jati hai. Jiske manfi asraat hamein aam tor par har janib hi dikhai derahy hain. Hamary muashray me bay shumaar mard aese bhi hain jinhe apne ghar ki aurton maslan Maaon, Behno, Betiyon or Biviyon ki ghairat ka boht khayal hota hai lekin afsos………. Inki ye ghairat sirf ghar tak hi mehdood rehti hai. Aur dusri aurat ko dekh kr inka nazariya bilkul iske bar-aks hota hai. Muashray me deegar khawateen se jab inka takrao hota hai tou inki wo saari ghairat boht asaani se be-ghairti me badal jati hai. Phir chahe wo raah chalti aurat ho ya ek bus mein sawar aurat inko is baat ki kya parwah kay wo bhi kisi or ki Behen hai ya Beti……

Ghairat kay naam ka jhoota libadah orhne waly yeh log naa sirf khud be-hayai ki alamat bnjaty hain blke be-gunah aurto par bhi be-izzati ka daagh laga dete hain. Pakistan jese Muslim mumalik me aurton ki izzat.o.asmat ko be-dardi se pamaal krke un be-gunah aurton ko zabardasti maut kia wadiyon me pohancha diya jata hai. Aik report kay mutabiq Pakistan me saalana 500 kay qareeb khawateen ko ghairat kay naam par qatal kardia jata hai. “Kaar.o.kaari” bhi isi ki aik qism hai jisko Sindh bhar mein maana jata hai. Aur isay badkaari kay mutaradif samjha jata hai. Kaar.o.kaari wo cheez hai jis mein aksar mard apnay khandani jhagray mitanay, zameen.o.jaedaad hasil karny, naa pasandeeda Bivi say chhutkara hasil krke dusri shadi karnay samait be-shumar maqasid kay husool ki khatir masoom aurton par kisi dusray mard say talluqaat ka ilzaam aaid karke kaar.o.kaari qarar dey kar qatal kardete hain. Iske elawa larki ki man pasand or ghair khaandan mein shadi karna bhi kaar.o.kaari mein shumaar kiya jata hai.

Baluchistan kay aik zilay “Naseerabad” mein ghairat kay naam par 5 khawateen ko firing karke naa sirf qatal karney ki koshish ki blke iske sath sath unhe tarapti hui halat mein zinda dafan krdiya gaya. Jab ye khabar TV or Akhbaarat ki zeenat bani tou Pakistan Peoples Party kay aik minister jinka talluq usi qabeelay se tha unka kehna hai kay ye hamari baloch riwayat ka hissa hai. Aesa koi pehli baar nhi hua. Pakistan mein kahin naa kahin aurat is cheez ka nishana banti hui dikhai deti hai.

Agar aesa hai tou Sawal ye peda hota hai kay jis minister ko is baat ka sakht notice lena chahiye tha usne isko riwayat ka naam dediya. Kya aesa shakhs minister banney k laaiq hai? Kya kisi qabeelay ki ehmiyat Islami qawaneen se zyada hai? Kya Islmai Jamhuriyah Pakistan mein be-gunah aurton ko qatal karna or inki izzat.o.aabro ko pamaal karna koi jurm nhi? Aakhir kab tak Islam kay naam par hasil krne waaly is mulk mein Islam hi kay taqazon kay khilaaf yeh wehshiyana sulook jaari rahega???


Ye wo sawalaat hain jinke jawaab hukumat dene ko tayar nhi qanoon ka darwaza khat khataya jaye tou wahan par bhi masoom logon ki be-hisi or naakami sir charh kar bolti hai. Lihaza hukumat ki naa-ehli ko aik taraf rakhte hue hamein khud behtar tor par iqdamaat karne hain. Or ilm kay zariye logon ko behtar tor par haya or be-hayai ka farq batana hai. Sath hi aese masail ko dabaney kay bajaye is par awaaz utha kar hamein apni qaum ko jagana hoga. Kyun k ye sirf aik aurat ki nahi balke aik muashray, aik khaandan or aany wali tamaam naslo ki izzat ka sawal hai….

No comments:

Post a Comment