BY: ASNA KHAN
EK NAZAR YAHAN BHI….
Mazdoor
mazduri karne kay bawajoud bhi pareshani, ghurbat or faaqon ka shikaar hain.
Fariya chowk par yeh manzar taqreeban roz hi dekhne ko milta hai lekin koi bhi
is par ghor nhi karta. Sakht sardi ho ya phir garmi ye bourhy mazdoor rozana hi
subah sawery apny auzaar saja kar kisi naa kisi footpath, chowrangi ya chowk
par sirf is intizaar mein baith jaaty hain kay shayad koi in se kaam le lay.
Jisse unke ghar ka chulha jal saky. Lkn afsos unhe naakami ka samna hota hai.
1st
May ko Labour Day k naam par milne wali chutti ki khushiyan mazdoor se zyada
tou hum manate hain lekin kese manate hain ye kbhi socha??? Sirf forward
messages krke, facebook pe status upload karke or ek din k lye apne whatspp pr
mazdoor k naam ki picture saja kr kya hmne apna farz pura krdia? Hum samjhte
hain kay in sb cheezon kay zariye unko kharaj-e-tehseen pesh krke apna kaam
pura krdia. Kya tamam mazdoor hamare status parhlete hain or mazdoor kay naam
par lagai gai pictures dekh lete hain? Jab hm ye janty hain k aesa nhi hai tou
hm kyun nhi aqal se kaam lete? Hm ye sb banawati cheezen apna kar dunya ko sirf
ye batana chahte hain k humein unka both khayal hai. Agar waqai hamy unka khayal
or ehsas hai tou ye sb krke hamy dunya ko ye batane ki kya zrurat hai? hm naik
niyati se or apne dil se unke liye kuch acha bhi tw krsakty hain, kisi qism ki
madad bhi tw karsakty hain. Lkn hum sb be-raah rawi ka shikaar hain.
Unke chehre
ki jhurriyon mein chhupi mayusi yeh batarahi hoti hai kay agar unki aaj dihaari
naa ho saki tou wo kis mu se apne ghar jaa kar apne masoom bivi, bachon kay
jawab dey hongy? Kis tarah yaqeen dilaengy kay unhone bhi pura din tapti dhoop
me isi aas me guzara hai kay koi farishta ban kar aye or un se kaam le lay ya
unki koi madad krjaye. Lekin hamy unki kya parwah? aksar.o.beshtar unki isi aas
me suraj bhi mashriq se maghrib ka rukh karleta hai. Or wo mazdoor apne bhari bharkam
auzar wapis samait kar be-basi kay aalam me apne kaandhay par laad kar usi
tarah apni khaali jaib sambhaly ghar ki jaanib chal parta hai. Or jab ghar
pohanchte hi uske bachy masoomiyat k sath usse sirf ye sawal karte hain kay, “Abbu
kya aj hum khana milega?” tou kya guzarti hogi us be-bas or majboor baap par
jab uske paas apne bachon ki itni asaan si baat ka bhi jawab naa ho. Kis mu se
kehta hoga wo kay uski jaib mein agar kuch wazan hai bhi tou wo sirf zara si
gard chimat jaany ka hai jo footpath or road or beth kar uski jaib se chimat
gai thi warna uski jaib ab bhi usi tarah khali hi hai jese subah sawery ghar se
nikalte waqt khali thi…..
No comments:
Post a Comment