" Seedha saadha bachpan "
ye daulat bhi lelo, ye shauhrat bhi lay lo
bhalay cheenlo mjhse meri jawani
magr mjhko lau ta do wo bachpan ka sawan
wo kaghaz ki kashti wo barish ka paanii. . .
Aaaaahhhh!!!
waqaii wo bhi kia din thay jab ham srf aik qalam aur kitaboon k zariye
parha krty thy. hamain kisii internet ya mobile ka sahara nahi hota tha.
dictionary bhi wireless hua krti thii. joo krna hua krta thaa ham apni
mukhtalif kitaboon k zariye kara krty thy. libraries me jaao tou sir hee
sir k alawa kuch nazar nahi aya krta tha. lekin ab k zamanay me bachy
thandi A.c ki hawa leney jaya krty hain wahan. unko maloom hota hai k
internet hai hamara saathi. ab to internet sy fursat nahi milti k kuch
parha bhii jayee. internet ny bachon sy unka seedha saadha bachpan cheen
hee lia haii.
"Ab ka daur aesa naahi raha k ham apna seedha saadha bachpan guzaarain"
~AREEBA KHAN
No comments:
Post a Comment