BY: ASNA KHAN
"ILM BARI DOLAT HAI"
( PRIVATE TALEEMI IDARAY )
Ye jumla to hum bachpan se he sunty arhy hain k "ILM BARI DOLAT HAI". Lekin ab ye baat aur bhi ziada durust lgti hai kyun ke private taleemi idaron ke liye waqai "ILM BARI DOLAT HAI". Kyun ke ab in idaron ne ilm ke mayar ko chor kr isse milnay wali bari dolat ke peechay bhagna shru krdiya hai.
Un mein say kuch idaron ka to ye haal hai ke na unki intezamiya itni
taleemi yafta hai na ilm ki kuch aqal samjh hai. Lekin taleem ke naam
per apny idaray chala rhy hain. Aj kal ke in taleemi idaron ne taleem
faraham krny ke bajaye note bananay ka kaam shru krdiya hai. Paise se
paise kese bnaya jata hai koi inse pochay.
Fees ki ager baat ki jaye to iska to koi pursaan e haal he nhi her saal
apni marzi ke mutabiq jitni chahi fees brhadi. Students ki is majboori
se poora poora faida uthaya jata hai ke unke paas koi aur rasta to hai
nhi na wo beech saal se apni parhai sirf fees ki wajah se adhuri chor
sakty hain.Fess ke ilawa bhi be-shumar zarae hain paise wasool krne ke ya to late fees ki surat mein ya phir bina quality ke uniform ko zabardasti khareedny ki mad mein iske elawa re-exam ke naam per bhi ab to ba-asani hazaron rupay wasool kiye jatay hain.
Pehle kbhi jb in idaron mein parhny walay bachon ka result samnay ata tha aur is mein ager failures ki thori see bhi tadad payi jati thi to wo idaray ke liye mayosi ki alamat smjhi jati thi. Aur ab ager failures ki tadad hazaron mein bhi pohanch jaye to yahi cheez idaray ke liye khush qismati ka baais bnjati hai kyun ke papers reh janay ki surat mein he to hazaron rupay wasool krty krty lakhon rupay ka bank balance jama hojata hai chahay ab ager un papers mein reh janay walay bachon ko dobara classes lene ki zaroorat darkar ho ya na ho phir bhi zabardasti ki classes unke sir per laad di jayengi.
In taleemi idaron ne taleem hasil krny walay bachon ke maa baap ko lootney mein kisi qisam ki koi kasar nhi chori. Ye wo log hain jo baghair gun ke maa baap ko lootna chahty hain. Mein jis idaray ka hissa hun wahan ka haal bhi kuch aisa he hai fees ka bojh to apni jaga lekin kuch departments mein students ko assignments bhi is tarhan ke dy diye jatay hain jis ka kharcha hazaron mein hota hai jese assignment ke naam per apni he university mein library bnwana, projectors lagwana, printers faraham krna, lockers aur cupboards bnwana aur to aur puranay auditorium ko naye tarz per khoobsurat andaz mein bnadena. Aur students ke liye 10 se 20 numbers ke assignment ko 40 se 50 numbers per pohchana dena ke ager unhone ye assignment na kiya to inke fail hone ke khadshaat bohot ziada hain jabke dosron ke samne ye idaray apni saakht bohot aasani se achi bna lete hain ke jese ye sara ka sara taraqqi yafta kaam unhone he to karwaya hai.
Kabhi kabhi mein ye sochti hun ke kya sirf isi ka naam taleem hai??? lekin phir andaza hota hai ke meri tarah her student apne mustaqbil ko lekar inke hathon majboor hai. Aur ab in tamam halaat se guzarne ke baad hum samajhdaari se is baat ko samajh skty hain ke waqai "ILM BOHOT BARI DOLAT HAI".